sunte hain mohabbat dhoka hai dhoka na hua achchha hi hua us shahid-e-rana se koi wada na hua achchha hi hua ek jins-e-giran hai dil apna sad-shukr ki apne pas to hai in zohra-jabinon se yaro sauda na hua achchha hi hua kya jaane kahan thokar lagti kya jaane kahan sar jhuk jata kitni hi pilai us ne magar nashsha na hua achchha hi hua khuddar tabiat apni bhi khuddar tabiat us ki bhi us pa-e-nigarin par hum se sajda na hua achchha hi hua ye baat usi ki sach nikli wo jit gaya main haar gaya ek naseh-e-mushfiq se apna jhagda na hua achchha hi hua ehsas ke shoale jal uthte dil dukh jata ji chhut jata us mahfil-e-kaif-o-masti mein jaana na hua achchha hi hua har ashk hamara gauhar hai har ashk hamara shabnam hai 'iqbaal' hamein in ashkon ka rona na hua achchha hi hua