suraj chhupa ek ek gul-e-manzar bikhar gaya shoala sa koi dil mein utar kar bikhar gaya tha chandni ka jism ki shishe ka tha badan aai hawa to gir ke zamin par bikhar gaya kal hans ke reg-e-dasht se kahti thi zindagi main ne chhua hi tha ki wo patthar bikhar gaya naddi pe ek narm kiran ne rakha jo panw chaaron taraf sada ka samundar bikhar gaya 'jafar' hamara dil bhi hai wo aaina ki bas khai zara nigah ki thokar bikhar gaya