suraj ke sath sath ubhaare gae hain hum

suraj ke sath sath ubhaare gae hain hum
tarikiyon mein phir bhi utare gae hain hum

ras aa saki na hum ko hawa tere shahr ki
yun to qadam qadam pe sanware gae hain hum

kuchh qahqahon ke abr-e-rawan ne diya nikhaar
kuchh gham ki dhup se bhi nikhaare gae hain hum

sahil se rabta hain nahin tutta kabhi
kaise samundaron mein utare gae hain hum

tuta na rah-e-shauq mein afsun-e-tirgi
le kar jilau mein chand sitare gae hain hum

jaana muhaal tha teri mahfil ko chhod kar
pa kar teri nazar ke ishaare gae hain hum

is tera khak-dan mein koi puchhta nahin
kahne ko aasman se utare gae hain hum

sau bar bar-e-gham ne pareshan kiya hamein
sau bar misl-e-zulf sanware gae hain hum

is silsile mein maut to badnam hai yunhi
is zindagi ke hathon hi mare gae hain hum

gardab-e-gham mein dub ke ubhre hain barha
kis ne kaha kinare kinare gae hain hum

'yazdani'-e-hazin hamein kuchh bhi khabar nahin
us aastan pe kis ke sahaare gae hain hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close