suraj ki kiran dekh ke bezar hue ho

suraj ki kiran dekh ke bezar hue ho
shayad ki abhi khwab se bedar hue ho

manzil hai kahan tum ko dikhai nahin degi
tum apne liye aap hi diwar hue ho

ehsas ki daulat jo milegi to kahan se
kuchh bhi na raha pas to hoshiyar hue ho

socho to hai maujud na socho to nahin hai
jis dam mein tum log giraftar hue ho

apne se taghaful hai ki be-rah-rawi hai
kya soch ke duniya ke talabgar hue ho

ye rishta-e-dil tod ke kya tum ko mila hai
tute hue patte ki tarah khwar hue ho

pahle bhi kabhi nur ka ehsas hua tha
ya aaj hi is gham se khabar-dar hue ho

majnun ho to hai khak udane se tumhein kaam
yusuf ho to ruswa sar-e-bazar hue ho

kal tak to in aankhon mein murawwat ki jhalak thi
fitna ho to phir aaj hi bedar hue ho

koi ufuq-e-dil pe numudar to ho le
tum kis ke qadam lene ko tayyar hue ho

ye chhab ye jhamak aankh se dekhi nahin jati
tum udte hue waqt ki raftar hue ho

'shahzad' tassuf na karo be-asari par
tum dast-e-rasa kab the ki bekar hue ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close