suraj ki tarah saya-e-diwar mein aaya wo shakhs mere halqa-e-mear mein aaya be-sakhta khulte gae palkon pe sitare wo mausam-e-zarkhez shab-e-tar mein aaya kal raat bhi gul-rang hua tha koi bistar ye zikr nai tarah se akhbar mein aaya ek yaad se dubi hui har nabz phir ubhri thahraw sa phir sans ki raftar mein aaya kuchh der jhuki palkon ke sae mein raha phir wo rang-e-haya aariz-o-rukhsar mein aaya jab shahr-e-tamanna ka sukun ras na aaya ghar laut ke main shiddat-e-afkar mein aaya 'shahzad' main har marka jab haar ke baitha tab josh bala ka dil-e-khuddar mein aaya