suraj nikalne sham ke dhalne mein aa rahun main kya ajab ruton ke badalne mein aa rahun barish barasne dhup ke khilne mein hun sharik shakhon pe konpalon ke nikalne mein aa rahun bahne lagun kinaron ko chhute hue kahin dariya ke lahr lahr machalne mein aa rahun ruk jaun tahniyon ko bala kar zara si der phir se hawa chale to main chalne mein aa rahun gandum ki baaliyon mein banon zaiqa kahin mitti ko chumun phulne-phalne mein aa rahun tujh mein sama na jaun agar mera bas chale ye dil dhadakne sans ke chalne mein aa rahun ho jaun 'turk' taq hi is khwab-gah ka lau ki tarah charagh ke jalne mein aa rahun