suraj sar ke upar hai qadmon mein apna sar hai aankhen nam daman tar hai dil ki pyas samundar hai hangama sab andar hai manzar phir bhi manzar hai chikhte dariyaon ka junun apni had se bahar hai fitrat ka hai sehr ki dil aaina hai patthar hai hum bhi ek parinde hain barg-e-shajar apna ghar hai izzat shohrat ruswai jo bhi hai jurat bhar hai dil mein uthe kya lahr 'ayaz' ye bhi khushk samundar hai