surat se wo bezar hai malum nahin kyun dil phir bhi talabgar hai malum nahin kyun har shakhs ko bakhshi gai tamiz-e-bad-o-nek har-shakhs ziyan-kar hai malum nahin kyun ek chiz ki sarmaya-e-rahat hai use log kahte hain ki aazar hai malum nahin kyun patta bhi agar hilta hai to us ki raza se aur banda gunahgar hai malum nahin kyun din-dar hai zahid ki zaban bhi mera dil bhi phir muft ki takrar hai malum nahin kyun