surkh daman mein shafaq ke koi tara to nahin hum ko mustaqbil-e-zarrin ne pukara to nahin dast o pa shal hain kinare se laga baitha hun lekin is shorish-e-tufan se haara to nahin is gham-e-dost ne kya kuchh na sitam dhae magar gham-e-dauran ki tarah jaan se mara to nahin dukh bhare giton se mamur hai kyun barbat-e-jaan is mein kuchh gursana nazron ka ishaara to nahin ashk jo de na uthe lau sar-e-mizhgan aa kar sirf ek qatra-e-shabnam hai sharara to nahin ek ujala sa jhalakta hai pas-e-parda-e-shab chashm-e-be-khwab mein larzan koi tara to nahin kitni ummidon pe jita raha 'wamiq' ab tak ab magar ek yahi jine ka sahaara to nahin