ta-qayamat nahin zawal hamein us ne bakhsha hai wo kamal hamein hum ki raushan kitab wale hain puchhiye koi bhi sawal hamein gardish-e-waqt apne kal ki soch is qadar kar na paemal hamein hum tere ahd ki amanat hain apne sine mein rakh sambhaal hamein ek be-rang kitab ki surat mez par yun na tu uchhaal hamein chand taron ne aasman se kaha aamad-e-shams hai sambhaal hamein