tab-e-didar ju lae mujhe wo dil dena munh qayamat mein dikha sakne ke qabil dena na-tawanon ke sahaare ko hai ye bhi kafi daman-e-lutf ghubar-e-pas-e-mahmil dena zauq mein surat-e-mauj aa ke fana ho jaun koi bosa to bhala ai lab-e-sahil dena hae re hae teri uqda-kushai ke maze tu hi khole jise wo uqda-e-mushkil dena ek fitna hai qayamat mein bahaar-e-firdaus juz tere kuchh bhi na chahe mujhe wo dil dena dard ka koi mahal hi nahin jab dal ke siwa mujh ko har uzw ke badle hama-tan dil dena