tab us ka zahr usi ke badan mein bhar jae agar zaban na chalae to sanp mar jae khadi hai dar pe ajal aur mujh mein jaan nahin kaho wo der se aai hai apne ghar jae koi charagh jahan raushni ka zikr kare siyah raat ka chehra wahin utar jae wo barg-e-khushk jise shakh ne latad diya hawa ke sath na jae to phir kidhar jae ye jo charagh hawaon ki dhun pe raqsan hai use batao abhi waqt hai sudhar jae adab ki soch yahi hai tumhaara tir nahin tumhaara sher dil-o-jaan mein utar jae tere bayan mein khushbu hai raushni dil mein 'mayank' sab ki tamanna hai tu bikhar jae