tabiat rafta rafta khugar-e-gham hoti jati hai wahi ranj-o-alam hai par khalish kam hoti jati hai khushi ka waqt hai aur aankh pur-nam hoti jati hai khili hai dhup aur barish bhi chham-chham hoti jati hai ujala ilm ka phaila to hai chaaron taraf yaro basirat aadmi ki kuchh magar kam hoti jati hai karen sajda kisi but ko gawara tha kise lekin jabin ko kya karen jo khud-ba-khud kham hoti jati hai tujhe hai fikr meri mujh se badh kar ai mere maula mujhe darkar hai jo shai faraham hoti jati hai uthi kya ek nigah-e-lutf phir apni taraf yaro ki har tuti hui ummid qaem hoti jati hai bada ghate ka sauda hai 'sada' ye sans lena bhi badhe hai umar jyun-jyun zindagi kam hoti jati hai