tadap uthun bhi to zalim teri duhai na dun main zakhm zakhm hun phir bhi tujhe dikhai na dun tere badan mein dhadakne laga hun dil ki tarah ye aur baat ki ab bhi tujhe sunai na dun khud apne aap ko parkha to ye nadamat hai ki ab kabhi use ilzam-e-bewafai na dun meri baqa hi meri khwahish-e-gunah mein hai main zindagi ko kabhi zahr-e-parsai na dun jo than gai hai to yari pe harf kyun aae harif-e-jaan ko kabhi tan-e-ashnai na dun mujhe bhi dhund kabhi mahw-e-aina-dari main tera aks hun lekin tujhe dikhai na dun ye hausla bhi badi baat hai shikast ke baad ki dusron ko to ilzam-e-na-rasai na dun 'faraaz' daulat-e-dil hai mata-e-mahrumi main jam-e-jam ke ewaz kasa-e-gadai na dun