tadapti hain tamannaen kisi aaram se pahle luta hoga na yun koi dil-e-nakaam se pahle ye aalam dekh kar tu ne bhi aankhen pher lin warna koi gardish nahin thi gardish-e-ayyam se pahle gira hai tut kar shayad meri taqdir ka tara koi aawaz aai thi shikast-e-jam se pahle koi kaise kare dil mein chhupe tufan ka andaza sukut-e-marg chhaya hai kisi kohram se pahle na jaane kyun hamein is dam tumhaari yaad aati hai jab aankhon mein chamakte hain sitare sham se pahle sunega jab zamana meri barbaadi ke afsane tumhaara nam bhi aaega mere nam se pahle