tah-ba-tah hai raaz koi aab ki tahwil mein khamushi yun hi nahin rahti hai gahri jhil mein main ne bachpan mein adhura khwab dekha tha koi aaj tak masruf hun us khwab ki takmil mein har ghadi ahkaam jari karta rahta hai ye dil hath bandhe main khada hun hukm ki tamil mein kab meri marzi se koi kaam hota hai tamam har ghadi rahta hun main kyun be-sabab tajil mein mangti hai ab mohabbat apne hone ka subut aur main jata nahin izhaar ki tafsil mein muddaa tera samajh leta hun teri chaal se tu pareshan hai abas alfaz ki tawil mein apni khatir bhi to 'alam' chiz rakhni thi koi ab kahan kuchh bhi bacha hai teri is zambil mein