tahlil mausamon mein kar ke ajab nasha sa phaila hua hai har-su kuchh din se rat-jaga sa milte hain roz un se hasrat ki sarhadon par rahta hai phir bhi hail kyun jaane fasla sa barson ke sab marasim tode hain us ne aise pal bhar mein tut jae jis tarah aaina sa taza rafaqaton ke pur-kaif silsilon mein rahta hai dil na jaane ab kyun dara dara sa meri bala se chahat ki lakh barishen hon main pahle bhi tha pyasa main aaj bhi hun pyasa donon mein aaj tak wo pahli si tishnagi hai phir wasl mein nahin kyun wo lutf ibtida sa tanhaiyon ki zad mein rahti hai ruh meri is waste hun yaro main aaj kal bujha sa takra gae jo un se hum rah mein achanak ek dastan hui phir wo hadisa zara sa jis par nigah thahri jaan-e-'khayal' apni wo ajnabi hai lekin lagta hai aashna sa