tairega faza mein jo samundar na milega dil sa bhi zamane mein shanawar na milega sahil se to andaza-e-tufan bhi hai dushwar tah mein jo na utroge to gauhar na milega wabasta hai is bazm se hi ghar ka tasawwur uth jaegi jab bazm to phir ghar na milega parwaz khalaon mein mubarak tumhein lekin ek bar bikhar kar to ye paikar na milega sar phodne wale rahen wallah salamat kuchh din mein ibaadat ko bhi patthar na milega har zarra hai firdaus-e-nazar had-e-nazar tak bedar na hona ki ye manzar na milega sairab jo hain un ki hawas aur badhi hai is bhid mein pyason ko samundar na milega tum lutf-e-mulaqat ko khwabon mein basa lo ye lamha masarrat ka bichhad kar na milega har sher mein izhaar se ehsas ham-aghosh is daur mein 'sahir' sa sukhan-war na milega