takhatub hai tujh se khayal aur ka hai ye nukta wafa mein bade ghaur ka hai wo khalwat mein kuchh aur jalwat mein kuchh hai karam us ka mujh par ajab taur ka hai mera chehra bhi mera chehra nahin hai ye ehsan mujh par mere daur ka hai ye nafrat mohabbat ka radd-e-amal hai ki mujh se taqaza tere jaur ka hai nae daur ki ibtida ka hai zamin ki dil aaina gosha-e-saur ka hai karachi mein bhi mo'atabar ho raha hai sukhan mein jo andaz lahore ka hai