takht jis be-khanaman ka dast-e-virani hua sar upar us ke bagula taj-e-sultani hua kyun na safi us kun hasil ho jo misl-e-arsi apne jauhar ki haya sun sar-ba-sar pani hua zindagi hai jis kun daim aalam-e-baqi munin jalwa-gar kab us ange yu aalam-e-fani hua bekasi ke haal mein yak aan main tanha nahin gham tera sine mein mere hamdam-e-jaani hua ai 'wali' ghairat sun suraj kyun jale nain raat-din jag munin wo mah rashk-e-mah-e-kanani hua