talash-e-qafiya mein umr sab guzari hai

talash-e-qafiya mein umr sab guzari hai
tu pukhtagi jise kahta hai kham-kari hai

sabhi hain apne magar ajnabi se lagte hain
ye zindagi hai ki hotel mein shab guzari hai

wo sare din raha daftar mein aur raat dhale
nazar ke kase mein ek khwab ka bhikari hai

kuchh aisa bichhda hun khud se ki mil nahin sakta
agarche kaam ba-zahir ye ikhtiyari hai

na jaane kyun meri aankhon mein chubh rahi hai aaj
safed sari pe jo ye siyah dhaari hai

mujhe class mein aksar ye qaul yaad aaya
wo kaamyab moallim hai jo madari hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close