talash-e-rizq mein jis ne zara achchha bura samjha to phir us ne haqiqat mein khuda ko bhi khuda samjha wo khalwat mein wo jalwat mein kahan us se chhupega tu agar tu ye nahin samjha bata de phir ki kya samjha hamara khun shamil hai watan ke zarre zarre mein magar afsos ki ahl-e-watan ne bewafa samjha bayan-e-husn shair ke takhayyul ka karishma hai kabhi zulfon ko wo nagin kabhi kali ghata samjha ganwa di jaan 'imran' ne hai jis ki jaan ki khatir wo us ki maut ko phir bhi faqat ek hadisa samjha