talluqat-e-musalsal bhi taziyane the

talluqat-e-musalsal bhi taziyane the
wo dhage tut gae jo bahut purane the

tere milan se tera intizar behtar tha
bane na jism jo sae wahi suhane the

sinaen lafzon ki sab sath-e-sang par tutin
tumhein ye war to phulon pe aazmane the

hamare ba'd bhi raunaq na aai us ghar par
charagh ek hawa ko kai bujhane the

bacha na koi musafir bhi darmiyan-e-safar
na jaane kaun se tiron ke sab nishane the

ye baam-o-dar pe jo chamki thi dhup si ai 'ah'
meri talash mein guzre hue zamane the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close