talluqat ki duniya ka haal kya kahiye ki marna sahl hai jina muhaal kya kahiye unhen jo raaziq-e-kul ko bhula ke karte hain gadagaran-e-zaman se sawal kya kahiye adab ki mahfilon aur din ki majalis mein na kaif-e-haal na lutf-e-maqal kya kahiye hasin aaj utar aae husn-bazi par ye josh-o-tarz-e-numud-e-jamal kya kahiye haram ho gai angur-o-jau ki sada kashid lahu gharib ka thahra halal kya kahiye fasana-sazo haq-amoz-o-jabir-o-rahman hai pur-tazad bashar ka kamal kya kahiye bas ek naqsh hai charbe usi ke uthte hain fasana-ha-e-uruj-o-zawal kya kahiye tamam chizen hadapne ke baad bhi bhuki siyasat aisi hai lanat-maal kya kahiye mizaj-e-dahr hai goya mizaj aurat ka abhi hai amn bhi jang-o-jidal kya kahiye tamam chizen farawan bhi hain garan bhi hain hai ek sidq-o-sadaqat ka kal kya kahiye adib-o-naqid-o-naqqash-o-ahl-e-raqs-o-ghina chalen khushi se hukumat ki chaal kya kahiye