tamam bojh kahan khak-dan pe padta hai kabhi kabhi to qadam aasman pe padta hai mujhe to ped ki chhanw ne rok rakkha hai wagarna hath to abr-e-rawan pe padta hai ye tir yun hi nahin dushmanon talak jate badan ka sara khichao kaman pe padta hai tujhe zamin ke bare mein ilm hai to bata is aasman ka saya kahan pe padta hai idhar main panw uthata hun aur udhar 'gauhar' ghubar sa saf-e-sayyargan pe padta hai