tamam raat isi fikr mein guzar jae

tamam raat isi fikr mein guzar jae
koi to subh meri zindagi sanwar jae

wo apne bachchon ko kya achchhi tarbiyat dega
jo der raat gae mahfilon se ghar jae

khayal itna rahe ret sa khayal na ho
badalte waqt ki aandhi mein jo bikhar jae

usi pe aankh bichhae hue main baitha hun
tumhaari jaanib-e-manzil jo rahguzar jae

wo kaun tha mera daman bhigo gaya hai jo
wo kis ki yaad hai jo be-qarar kar jae

kabhi umid ka daman na chhodna 'azar'
jo aas tuti to insan samjho mar jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close