tamam rang hawa ho gae kahani se

tamam rang hawa ho gae kahani se
zamin kanp rahi hai utarte pani se

wo ek parinda-e-atish jo aag pita tha
asir ho gaya apni hi khush-bayani se

shikar chhup gae apni panah-gahon mein
kaman tut gai us ki khincha-tani se

jo khel khel rahe the hawaon ki shah par
wo khel khatm hua marg-e-na-gahani se

khud apne aap se larzan rahi ulajhti rahi
utha na bar-e-garan raat ki jawani se

waraq waraq pe chala tesha-e-qalam lekin
na koi lafz juda ho saka maani se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close