tamam umr raha zindagi se uljha hua bayan jo harf-e-tamanna kiya to shikwa hua bichhad ke us se raha mutmain kahan main bhi kabhi jo zikr kisi se kiya to najwa hua ajib dast-e-hunar ne hai ye sawal kiya mera wajud hai kyon mujh se aaj rutha hua mera ye shahr mere haal pe taras khae jahan gaya main wahin ek naya tamasha hua ye mere log nahin khate rahm kyon mujh par main in ke shahr mein phirta hun aaj bhatka hua