tamasha ek anokha sa dikhana taraddud mein khula chehra dikhana use main ram kar lunga yaqinan bhari mahfil mein bas tanha dikhana hamesha josh mein rahna nahin hai kabhi jazba bahut dhima dikhana agar kahna hua mushkil zaban se ishaaron mein nai duniya dikhana dilase ke liye wo aa gae hain koi zakhmi koi murda dikhana use aasan hai fankar hai wo kisi maghmum ko hansta dikhana samar pukhta hamara ho rahega shajar ke pas tum dhila dikhana zara bahte hoi pani ko 'jafar' mera tapta hua sahra dikhana