tamasha ho jo dil mein aks-e-ru-e-yar ho paida ki apna ishq ka ek mahram-e-asrar ho paida rukh-o-gesu dikha kar naz se kahta hai wo dilbar koi kafir ho paida aur koi din-dar ho paida tumhaari silk-dandan ke tasawwur ne rulaya hai na kyun ashkon se mere gauhar-e-shahwar ho paida kahin munh pherta hai jaan-nisar-e-ishq marne se fida wo jaan kar le tujh pe gar sau bar ho paida agar girya-kunan sarshaar-e-ulfat hun to ai saqi unhin ke aansuon se baada-e-gulnar ho paida mudawa ghair-mumkin hai tere bimar-e-ulfat ka jo ek aazar achchha ho to ek aazar ho paida 'jamila' nawak-e-mizhgan-e-dil-bar se jo ho zakhmi na kyun us ki lahad par nargis-e-bimar ho paida