tamashai to hain tamasha nahin hai gira hai wo parda ki uthta nahin hai ye kis ki nazar de gai rog ya-rab sambhaale se ab dil sambhalta nahin hai tadap jaiyega tadap jaiyega tadapna hamara tamasha nahin hai bahut phans nikli bahut khar nikle magar dil ka kanta nikalta nahin hai ye har shakhs ki lan-tarani hai kaisi ki har aankh to chashm-e-musa nahin hai salamat meri wahshat-e-dil salamat kahan meri wahshat ka charcha nahin hai meri jaan bhi hai inayat tumhaari ye dil bhi tumhaara hai mera nahin hai bulai gai un ki mahfil mein duniya magar ek mera bulawa nahin hai zara aap samjhaiye dil ko naseh main samjha raha hun samajhta nahin hai tumhein dekhne ko tarasti hain aankhen bahut din hue tum ko dekha nahin hai