tan-e-nahif ki khatir rida nahin mangi bahut dinon se khuda se dua nahin mangi khud apni lash ko apne lahu se dhanpa hai hari ruton se gulon ki qaba nahin mangi chhaton pe pyas padaw kiye rahi lekin siyah-bakht gharon ne ghata nahin mangi koi shajar na kharida khulus-e-jaan ke ewaz shadid dhup mein thandi hawa nahin mangi sukut-e-marg labon ko pasand hai itna jo mustaar mile wo sada nahin mangi nuzul-e-mausam-e-tahqir-e-jaan se bachne ki gulab aise badan ne dua nahin mangi