tanha safar hai aur hai yaadon ki qabr-gah thahri hue saman mein dare jhinguron ki aah maddham lapakti lau se chamak uthta aasman aise mein dard-e-hijr ki halki si ek nigah soz-e-darun mein mast hun phir bhi koi kamin hai chahti zara ki abhi aur hun tabah mujh se khala mein baat bhi karna nahin rafiq aise khala mein baat bhi karna hai ek gunah sab ka khuda hai aur miyan mera koi aur mere khuda ki zulf se raushan hai shab-e-mah