tanhai tamir karegi ghar se behtar ek zindan baam-o-dar nahin honge lekin hoga jine ka saman kisi khayal ki sarshaari mein jari-o-sari yari mein apne-ap koi aaega aur ban jaega mehman jiwan paikar dhul jaenge jis mein gunah o sawab samet aansu paida kar hi denge aisi barish ka imkan ashkon ki bunda-bandi mein qaus-e-quzah ke rangon se ek aisi taswir bani hai sari duniya hai hairan hairani zanjir karegi har pal nai kahani ko aur 'zafar' sab kirdaron mein ek din pad jaegi jaan