tanhaiyon ke dard se rista hua lahu diwar-o-dar udas hain har shai hai zard-ru khamoshiyon mein dub gai zindagi ki sham aawaz de ke jaane kahan chhup gaya hai tu aankhon mein jagti hi rahi nind raat bhar chalti rahi khayal ke sahra mein garm lu sahil pe dubne lagi aab-e-rawan ki lau barpa tha zard ret ka tufan chaar-su wadi mein nilgun sa dhuan rengne laga ghabra ke dam na tod de jhilon mein justuju muddat ke baad laut ke aaya jab apne ghar ek aks aaine mein ye kahne laga ki tu