tanhaiyon ki god mein pal kar bada hua bachpan se apne aap sambhal kar bada hua ghairon ko apna man ke jita raha hun main is rah-e-pul-siraat pe chal kar bada hua main ne kabhi bhi raat se shikwa nahin kiya har shab kisi charagh sa jal kar bada hua patthar se koi wasta matlab na tha magar har aaine ki aankh mein khal kar bada hua makhmal ki chadaron ka mujhe kya pata ki main kanton ke bistaraon ko masal kar bada hua