tanhaiyon mein shor-e-qayamat bapa hai khair kis ki kami hai yaad nahin aa raha hai khair lazim hai hum ko dekhna jo kuchh falak dikhae ek bewafa ke honton pe lafz-e-wafa hai khair tujh se bichhad ke zist ka imkan hi nahin tu chhod jaan-e-jaan ye mera masala hai khair khun-e-jigar ne surkh kiya dast-e-naz ko un ko ye lag raha hai ki rang-e-hina hai khair wo aaine ko dekhte hain aaina unhen ek aaine ke samne ek aaina hai khair tujh ko to khub khub hai mere dukhon ka ilm tu to meri hayat mein shamil raha hai khair 'nasir' kamal-e-sher mein dawa nahin magar jo kuchh tha mere dil mein wo sab kah diya hai khair