taqat nahin hai tere paron mein udan ki rah kar zamin pe soch na tu aasman ki wo tut jaega kabhi jhukne na paega wirse mein us ne pai hai fitrat chatan ki guzri hai umr sari hi ghar mein kirae ke hasrat hi dil mein rah gai zati makan ki muhtaj dane dane ko yaro kisan hai hakim ko hai padi hui apne lagan ki 'sahil' utho ki sone ka waqt ab nahin raha kanon mein gunjti hain sadaen azan ki