taqdir-e-ishq aah-o-fughan ke siwa hai kya farmaiye ki aah-o-fughan narawa hai kya rangini-e-jahan bhi hai kis darja dil-fareb aur waqt-e-be-niyaz bhi simab-pa hai kya ai lutf-e-na-tamam tere lutf ke nisar juz dard hasrat-e-dil-e-dard-ashna hai kya mujh se ye kah raha hai ki tauba ki fikr kar abr-e-siyah mai-kade par chha gaya hai kya mere jigar ke dagh ki azmat na pochhiye us ke huzur lala-e-atish-qaba hai kya daman hai tar-tar kabhi dil hai chaak-chaak 'fitrat' tumhaare dard-e-junun ki dawa hai kya