tasawwur humne jab tera kiya pesh-e-nazar paya

tasawwur hum ne jab tera kiya pesh-e-nazar paya
tujhe dekha jidhar dekha tujhe paya jidhar paya

kahan hum ne na is dard-e-nihani ka asar paya
yahan uttha wahan chamka idhar aaya udhar paya

pata us ne diya tera mila jo ishq mein khud gum
khabar teri usi se pai jis ko be-khabar paya

dil-e-betab ke pahlu se jate hi gaya sab kuchh
na pain sine mein aahen na aahon mein asar paya

wo chashm-e-muntazir thi jis ko dekha aa ke wa tum ne
wo nala tha hamara jis ko sote raat bhar paya

main hun wo na-tawan pinhan raha khud aankh se apni
hamesha aap ko gum surat-e-tar-e-nazar paya

habib apna agar dekha to dagh-e-ishq ko dekha
tabib apna agar paya to ek dard-e-jigar paya

kya gum hum ne dil ko justuju mein dagh-e-hasrat ki
kisi ko pa ke kho baithe kisi ko dhundh kar paya

bahut se ashk-e-rangin ai 'jalal' is aankh se tapke
magar be-rang hi dekha na kuchh rang-e-asar paya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close