tasawwuraat ke KHakon mein tera ang bhare

tasawwuraat ke khakon mein tera ang bhare
kabhi musawwir-e-hasti kuchh aisa rang bhare

chamak uthe mere khwab-o-khayal ki duniya
yun meri zat mein jalwon ke jal-tarang bhare

khayal-e-sud-o-ziyan phir na ho mohabbat mein
teri nigah kabhi dil mein wo umang bhare

thahar na jae kahin aaj phir se nabz-e-hayat
pila wo jam ki jo khwahishon mein jang bhare

surur de wo ki ho wajd mein junun raqsan
to saz chhed kabhi aise bhi tarang bhare

palat ke war bhi karte kamin-gah pe kya
hamein to tir hi bakhshe gae hain zang bhare

ba-tarz-e-nau liya jae phir imtihan-e-dil
gulab shakh pe khilne lagen jo sang bhare

hayat-e-nau hi kare jumbishen ata un ko
nazar se jam pilae gae jo bhang bhare

bhatak na jaen agar hum to kya karen 'khawar'
jamal-e-yar ke raste hain jab surang bhare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close