taswir se kabhi to kabhi KHud se baat ki

taswir se kabhi to kabhi khud se baat ki
tujh se bichhad ke main ne yunhi din se raat ki

ab tak tamam dard-o-alam mil chuke mujhe
ab mujh pe intiha hai tere iltifat ki

jab muskuraega to jahan muskuraega
taqdir ban chuka hai koi kaenat ki

ye aur baat main hi unhen dekhta raha
wo samne bhi aae to kab mujh se baat ki

bas jaan lo wahin se rah-e-dost aa gai
jab ibtida ho silsila-e-hadsat ki

gham se najat mujh ko mile kis tarah 'zuhur'
kuchh fikr bhi to chahiye rah-e-najat ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close