tatolne pe bhi dil ka nishan nahin milta ghazab khuda ka jahan ka jahan nahin milta bhatak rahe hain khalaon mein hazrat-e-insan nai zamin naya aasman nahin milta kahan milega khuda ye na puchhiye mujh se koi batae mujhe wo kahan nahin milta zamin bhi ghum rahi hai zamin wale bhi kisi ko chain tah-e-asman nahin milta sukun dhundne wale kamal karte hain wahin talash karenge jahan nahin milta tere sawal ke milte jawab agar 'fayyaz' jawab kuchh to udhar se bhi han nahin milta