taza phul sajaen kyun hum kamre ke gul-danon mein teri khushbu shamil hai rozana ke mehmanon mein kaisi kaisi basti ujdi ahl-e-khirad ke hathon se diwanon ne shahr basae ja kar registanon mein apne aansu dafn hue hain aankh ki gili qabron mein apni chikhen qaid rahi hain zehnon ke zindanon mein us ke rup ki dhup ka saya chhanw bichhate pedon par us ki shokh hansi ka charcha shahr ke qahwa khanon mein dhund to ponchhi bhi ja sakti hai chashme ke shishon se waqt ki rakh padi rahti hai thande aatish-danon mein pairon se takraate hain jab jhonke sard hawaon ke hath larazne lag jate hain chamde ke dastanon mein tanhai ka bhaari patthar ek zara sa sarka hai kadiyon ki aawaz padi hai ek qaidi ke kanon mein