taziyat ki khokhli hai rasm jari aaj-kal is tarah se ho rahi hai gham-gusari aaj-kal log nange panw hain aur kirchiyan hain farsh par aur is par maut ka hai raqs jari aaj-kal shauq hai hum ko tamasha dekhne ka aur yahan rahnuma bhi mil gae hain kuchh madari aaj-kal ab nisab-e-ishq mein shamil nahin mehr-o-wafa ho gae hain ye mazamin ikhtiyari aaj-kal jit par us ka yaqin pukhta hua ye dekh kar aa rahi hai nafraton mein paedari aaj-kal ye kaha tha man se wo man rakhta hai mera ho rahi hai ja-ba-ja par sharmsari aaj-kal muddaton ke baad wo paikar hua hai mehrban hai magar parhez-gari hum pe tari aaj-kal bakht kya jage mere duniya shanasa ho gai sab ki mujh se ho gai hai rishtedari aaj-kal zindagi kamyab hone ka khasara ye bhi hai qatilon mein badh gai be-roz-gari aaj-kal