tazkire mein tere ek nam ko yun jod diya doston ne mujhe shishe ki tarah tod diya zindagi nikli thi har gham ka mudawa karne chand chehron ne khayalat ka rukh mod diya ab to aa jaen mujhe chhod ke jaane wale main ne khwabon ke darichon ko khula chhod diya qadr-dan qimat-e-bazar se aage na badhe fan ki dahliz pe fankar ne dam tod diya us chaman mein bhi tumhein chain mayassar na hua jis chaman ke liye tum ne ye chaman chhod diya yun to ruswa-e-zamana sahi lekin us ne mere sath aa ke nae daur ka rukh mod diya main musafir nahin aawara-e-manzil hun 'bashir' gardish-e-waqt ne ye dekh ke dam tod diya