tegh-e-barran nikalo sahab dil ke arman nikalo sahab ghar se rakhte ho qadam kyun bahar na meri jaan nikalo sahab dekh rahne se khafa ho to meri chashm-e-hairan nikalo sahab hai ye nasur-e-jigar ki batti tum na paikan nikalo sahab rahne do ghar mein na mujh par nahaq rakh ke bohtan nikalo sahab bar aghyar ko khalwat mein na do hain bad insan, nikalo sahab hai meri tarah tumhaara kahin dhyan dil se ye dhyan nikalo sahab gali nahaq na kisi ke haq mein munh se har aan nikalo sahab hae ye ranjish-e-beja dil se kisi unwan nikalo sahab sar-e-bazar na baitha karo tum kuchh to ab shan nikalo sahab garm-bazari ki khatir sar-e-rah tum na dukan nikalo sahab hasrat-e-wasl hai 'jurat' ko kamal lo ye arman nikalo sahab