tegh-e-nigah-e-dida-e-khun-khar nikali kyun aap ne ushshaq pe talwar nikali bhule hain ghazalan-e-haram rah khata se tum ne ajab andaz ki raftar nikali dhadka mere nale ka raha murgh-e-sahar ko aawaz shab-e-wasl na zinhaar nikali har ghar mein kahe rakhte hain kohram padega gar lash hamari sar-e-bazar nikali aakhir meri turbat se ugi hai gul-e-nargis kya baad-e-fana hasrat-e-didar nikali main wasl ka sail hun na wade ka talab-gar baaton mein abas aap ne takrar nikali jal jaega ye khirman-e-hasti abhi ai dil sine se agar aah-e-sharar-bar nikali dil le ke bhi 'rana' ka kiya pas na afsos kuchh hasrat-e-dil tu ne na ayyar nikali