tera aanchal nahin hota hai abr baadal nahin hota hai barishen to bahut hoti hain dasht jal-thal nahin hota hai mustaqil hai ye kaisi kami kuchh mukammal nahin hota hai zindagi jab talak rahti hai masala hal nahin hota hai sirf us ke shajar hote hain sabr ka phal nahin hota hai ek jangal nazar aane se shahr jangal nahin hota hai us ko tafsil se padhta hun jo mufassal nahin hota hai baat karte hain sadiyon ki hum pas ek pal nahin hota hai