tera bulbul hun tujh gul ki qasam hai birah sun mast hun mul ki qasam hai raqib-e-ru-siyah khawega ab mar mujhe tujh kale kakul ki qasam hai liye dil phirte hain daur zulaf mein mujhe us ke tasalsul ki qasam hai na kar tun bul-hawas upar talattuf tere dil ke tammul ki qasam hai khuda aakhir karega khush mera dil mujhe apne tawakkul ki qasam hai nahin hota hun milne sen kabhi ser tere man ke tafazzul ki qasam hai na rah ghafil tun apne 'mubtala' sun tujhe tere taghaful ki qasam hai